jab chhoD diya muD kar sahil ko nahin dekha
jab chhoḌ diyā muḌ kar sāhil ko nahīñ dekhā
raste ke musāfir ne manzil ko nahīñ dekhā
kyā hausla thā us kā kyā kar vo gayā logo
thā josh-e-junūñ hadd-e-fāsil ko nahīñ dekhā
vo laakh kare da.ave par ḳhaak mujhe samjhe
jis ne ki mire jazb-e-kāmil ko nahīñ dekhā
kyā ḳhuub hai hamdardī be-dard meharbāno
lāshoñ meñ ulajhte ho qātil ko nahīñ dekhā
tūfāñ se nipaTnā thā maujoñ se ulajhnā thā
ḳhatrāt meñ kashtī ne sāhil ko nahīñ dekhā
ehsās use hogā ḳhud jhūTī gavāhī kā
maqtal meñ abhī us ne bismil ko nahīñ dekhā
insāf kā mandir hai īmāñ kā ujālā bhī
kyoñ 'rāg' kisī ne bhī is dil ko nahīñ dekhā
jab chhoD diya muD kar sahil ko nahin dekha
raste ke musafir ne manzil ko nahin dekha
kya hausla tha us ka kya kar wo gaya logo
tha josh-e-junun hadd-e-fasil ko nahin dekha
wo lakh kare dawe par KHak mujhe samjhe
jis ne ki mere jazb-e-kaamil ko nahin dekha
kya KHub hai hamdardi be-dard meharbano
lashon mein ulajhte ho qatil ko nahin dekha
tufan se nipaTna tha maujon se ulajhna tha
KHatraat mein kashti ne sahil ko nahin dekha
ehsas use hoga KHud jhuTi gawahi ka
maqtal mein abhi us ne bismil ko nahin dekha
insaf ka mandir hai iman ka ujala bhi
kyon 'rag' kisi ne bhi is dil ko nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.