jab dant khol kar lab-e-sahil wo hans paDe
jab dant khol kar lab-e-sahil wo hans paDe
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
jab daañt khol kar lab-e-sāhil vo hañs paḌe
dariyā meñ maare sharm ke gauhar palaT gayā
ham samjhe bazm-e-bāda meñ gardish nasīb kī
muñh tak hamāre aa ke jo sāġhar palaT gayā
us jān-e-jāñ ne ġhair kī jānib jo ruḳh kiyā
siine meñ dil mirā bhī barābar palaT gayā
kūche se zulf-e-yār ke mahrūm maiñ phirā
zulmāt meñ nasīb-e-sikandar palaT gayā
daulat-kade meñ vo shah-e-ḳhūbāñ na jab milā
de kar duā.eñ us kā qalandar palaT gayā
vo bad-nasīb huuñ mire bahkāne ke liye
mānind-e-ġhol raah meñ rahbar palaT gayā
maiñ zahr-e-ishq-e-zulf se 'shaidā' bachūñgā kyā
mujh ko ye saañp kaaT ke yaksar palaT gayā
jab dant khol kar lab-e-sahil wo hans paDe
dariya mein mare sharm ke gauhar palaT gaya
hum samjhe bazm-e-baada mein gardish nasib ki
munh tak hamare aa ke jo saghar palaT gaya
us jaan-e-jaan ne ghair ki jaanib jo ruKH kiya
sine mein dil mera bhi barabar palaT gaya
kuche se zulf-e-yar ke mahrum main phira
zulmat mein nasib-e-sikandar palaT gaya
daulat-kade mein wo shah-e-KHuban na jab mila
de kar duaen us ka qalandar palaT gaya
wo bad-nasib hun mere bahkane ke liye
manind-e-ghol rah mein rahbar palaT gaya
main zahr-e-ishq-e-zulf se 'shaida' bachunga kya
mujh ko ye sanp kaT ke yaksar palaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.