jab dast-e-junun jaib-o-gareban se chala hai
jab dast-e-junun jaib-o-gareban se chala hai
Tabassum Nigam Dehlvi
MORE BYTabassum Nigam Dehlvi
jab dast-e-junūñ jaib-o-garebāñ se chalā hai
ruḳh maiñ ne rag-e-jāñ kī taraf moḌ diyā hai
ai dil ye koī khel nahīñ rāh-e-vafā hai
sau naqsh miTe haiñ to kahīñ ek banā hai
parvāna kuchh is taur se rah rah ke jalā hai
marne kī adāoñ meñ bhī jiine kī adā hai
ye abr ye barsāt ye bhīgī huī rāteñ
tauba ne kahāñ lā ke mujhe chhoḌ diyā hai
tum kyoñ mujhe ārām se marne nahīñ dete
ai chāragaro rahm karo vaqt-e-du'ā hai
mā'lūm to hotī hī nahīñ terī haqīqat
mahsūs ye hotā hai ki tū dekh rahā hai
'zāhid' hai burā aur na ham rind bure haiñ
manzil hai vahī ek magar raah judā hai
jis meñ ġham-e-jānāñ kī latāfat hai 'tabassum'
ham ne to ka.ī baar vahī zahr piyā hai
jab dast-e-junun jaib-o-gareban se chala hai
ruKH main ne rag-e-jaan ki taraf moD diya hai
ai dil ye koi khel nahin rah-e-wafa hai
sau naqsh miTe hain to kahin ek bana hai
parwana kuchh is taur se rah rah ke jala hai
marne ki adaon mein bhi jine ki ada hai
ye abr ye barsat ye bhigi hui raaten
tauba ne kahan la ke mujhe chhoD diya hai
tum kyon mujhe aaram se marne nahin dete
ai chaaragaro rahm karo waqt-e-du'a hai
ma'lum to hoti hi nahin teri haqiqat
mahsus ye hota hai ki tu dekh raha hai
'zahid' hai bura aur na hum rind bure hain
manzil hai wahi ek magar rah juda hai
jis mein gham-e-jaanan ki latafat hai 'tabassum'
hum ne to kai bar wahi zahr piya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.