jab dhup mein fasl pak rahi thi
jab dhuup meñ fasl pak rahī thī
har aañkh chamak-damak rahī thī
shīshe meñ ġhubār sā.atoñ kā
patthar meñ sadī jhalak rahī thī
jab aag meñ ham panah-guzīñ the
ashjār ko barf Dhak rahī thī
sarhad kī lakīr dekh aa.e
ḳhanjar kī tarah chamak rahī thī
ehsās kī lau ghaTā lī maiñ ne
merī hī taraf lapak rahī thī
jab dhup mein fasl pak rahi thi
har aankh chamak-damak rahi thi
shishe mein ghubar saaton ka
patthar mein sadi jhalak rahi thi
jab aag mein hum panah-guzin the
ashjar ko barf Dhak rahi thi
sarhad ki lakir dekh aae
KHanjar ki tarah chamak rahi thi
ehsas ki lau ghaTa li main ne
meri hi taraf lapak rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.