Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab dhup ne badan ko sunaya ki main bhi hun

Navin Joshi

jab dhup ne badan ko sunaya ki main bhi hun

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    jab dhuup ne badan ko sunāyā ki maiñ bhī huuñ

    saa.e ne bāhar aa ke batāyā ki maiñ bhī huuñ

    pūchhā kisī ne dil satāyā hai aur kaun

    maiñ ne bhī apnā haath uThāyā ki maiñ bhī huuñ

    sochā koī nahīñ mirā bhagvān ke sivā

    phir ek din samajh meñ ye aayā ki maiñ bhī huuñ

    āñkhoñ meñ us duur se duniyā dikhā.ī

    us ne qarīb aa ke dikhāyā ki maiñ bhī huuñ

    har koī is jahāñ meñ anā marīz hai

    har koī jab kahā to ye paayā ki maiñ bhī huuñ

    har baar aadmī ne kiyā maiñ huuñ shor

    har baar vaqt ne ye sikhāyā ki maiñ bhī huuñ

    jab dhup ne badan ko sunaya ki main bhi hun

    sae ne bahar aa ke bataya ki main bhi hun

    puchha kisi ne dil ka sataya hai aur kaun

    main ne bhi apna hath uThaya ki main bhi hun

    socha koi nahin mera bhagwan ke siwa

    phir ek din samajh mein ye aaya ki main bhi hun

    aankhon mein us ki dur se duniya dikhai di

    us ne qarib aa ke dikhaya ki main bhi hun

    har koi is jahan mein ana ka mariz hai

    har koi jab kaha to ye paya ki main bhi hun

    har bar aadmi ne kiya main hi hun ka shor

    har bar waqt ne ye sikhaya ki main bhi hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now