jab dikhai de raha tha KHud-kushi ka rasta
jab dikhā.ī de rahā thā ḳhud-kushī kā rāstā
tab achānak hī milā ye shā.erī kā rāstā
dhīre dhīre ye hamārī bhī samajh meñ aa gayā
kis liye chuntā hai koī ḳhāmushī kā rāstā
kaash ham mahsūs karte dukh un āñkhoñ kā kabhī
dekhtī rahtī haiñ jo har pal kisī kā rāstā
chalte chalte ik na.e jangal meñ kaise aa ga.e
ham to samjhe the ki hai ye vāpsī kā rāstā
paañv se lipTā huā thā koī anhonī kā Dar
kitnā mushkil lag rahā thā do ghaḌī kā rāstā
raat vo ne.amat hai jo raushan hai apne nuur se
vo bhalā kab dekhtī hai raushnī kā rāstā
muḳhtalif ḳhushiyāñ haiñ sab kī muḳhtalif haiñ ranj-o-ġham
muḳhtalif hotā hai jaise har kisī kā rāstā
jab dikhai de raha tha KHud-kushi ka rasta
tab achanak hi mila ye shaeri ka rasta
dhire dhire ye hamari bhi samajh mein aa gaya
kis liye chunta hai koi KHamushi ka rasta
kash hum mahsus karte dukh un aankhon ka kabhi
dekhti rahti hain jo har pal kisi ka rasta
chalte chalte ek nae jangal mein kaise aa gae
hum to samjhe the ki hai ye wapsi ka rasta
panw se lipTa hua tha koi anhoni ka Dar
kitna mushkil lag raha tha do ghaDi ka rasta
raat wo neamat hai jo raushan hai apne nur se
wo bhala kab dekhti hai raushni ka rasta
muKHtalif KHushiyan hain sab ki muKHtalif hain ranj-o-gham
muKHtalif hota hai jaise har kisi ka rasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.