jab dil hi nahin baqi wo aatish para sa
jab dil hī nahīñ baaqī vo ātish paarā sā
kyuuñ raqs meñ rahtā hai palkoñ pe sharārā sā
vo mauj hameñ le kar girdāb meñ jā niklī
jis mauj meñ raushan thā sarsabz kinārā sā
taarā sā bikhartā hai ākāsh se yā koī
Thahre hue aañsū ko kartā hai ishārā sā
tinkoñ kī tarah har shab tan-man ko bahā le jaa.e
ik barsoñ se bichhḌī huī āvāz kā dhārā sā
jaise koī kam kam ho shāyad vahī 'aslam' ho
is raah se guzrā hai ik hijr kā maarā sā
jab dil hi nahin baqi wo aatish para sa
kyun raqs mein rahta hai palkon pe sharara sa
wo mauj hamein le kar girdab mein ja nikli
jis mauj mein raushan tha sarsabz kinara sa
tara sa bikharta hai aakash se ya koi
Thahre hue aansu ko karta hai ishaara sa
tinkon ki tarah har shab tan-man ko baha le jae
ek barson se bichhDi hui aawaz ka dhaara sa
jaise koi kam kam ho shayad wahi 'aslam' ho
is rah se guzra hai ek hijr ka mara sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.