jab dil ko iztirab ke nalon ne aa liya
jab dil ko iztirāb ke nāloñ ne aa liyā
haule se ham ne naam tirā gungunā liyā
khilte hue guloñ kī mahak rā.egāñ ga.ī
mujh ko tire hisār kī ḳhushbū ne aa liyā
jis tarah gul ne āñdhiyāñ jhelī haiñ rāt-bhar
ham ne bhī ġham kī thaap se ThaTThā banā liyā
ham ko ġham-e-jahāñ meñ jidhar tak rasā.ī thī
terī hasīn aañkh kā naqsha banā liyā
koī ġhazal kahī kabhī tere jamāl par
terī hañsī kī yaad meñ ḳhud ko hañsā liyā
jab dil ko iztirab ke nalon ne aa liya
haule se hum ne nam tera gunguna liya
khilte hue gulon ki mahak raegan gai
mujh ko tere hisar ki KHushbu ne aa liya
jis tarah gul ne aandhiyan jheli hain raat-bhar
hum ne bhi gham ki thap se ThaTTha bana liya
hum ko gham-e-jahan mein jidhar tak rasai thi
teri hasin aankh ka naqsha bana liya
koi ghazal kahi kabhi tere jamal par
teri hansi ki yaad mein KHud ko hansa liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.