jab dil mein tere wasl ka imkan nahin tha
jab dil meñ tire vasl kā imkān nahīñ thā
tab ishq mujhe bā.is-e-nuqsān nahīñ thā
sad-shukr mohabbat pe maiñ īmān le aaya
varna maiñ koī ḳhaas musalmān nahīñ thā
ik naqsh-e-qadam ne mujhe ye raah dikhā.ī
ye dasht yūñhī dosto āsān nahīñ thā
afsos ki tū ne bhī mirī baat na samjhī
dil tū to mire haal se anjān nahīñ thā
raas aa.ī thī zindān meñ mujh ko ye suhūlat
sau sher kahe maiñ ne pareshān nahīñ thā
lahje kī tamāzat se mirī aañkh khulī thī
vaise maiñ tirī baat pe hairān nahīñ thā
us shaḳhs kī hālat pe taras aatā hai 'rāshid'
jo mujh se bichhaḌ kar bhī pashemān nahīñ thā
jab dil mein tere wasl ka imkan nahin tha
tab ishq mujhe bais-e-nuqsan nahin tha
sad-shukr mohabbat pe main iman le aaya
warna main koi KHas musalman nahin tha
ek naqsh-e-qadam ne mujhe ye rah dikhai
ye dasht yunhi dosto aasan nahin tha
afsos ki tu ne bhi meri baat na samjhi
dil tu to mere haal se anjaan nahin tha
ras aai thi zindan mein mujh ko ye suhulat
sau sher kahe main ne pareshan nahin tha
lahje ki tamazat se meri aankh khuli thi
waise main teri baat pe hairan nahin tha
us shaKHs ki haalat pe taras aata hai 'rashid'
jo mujh se bichhaD kar bhi pasheman nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.