jab dil TuTa diwane ka
jab dil TuuTā dīvāne kā
āġhāz huā afsāne kā
tab aur sham.a kī lau bhaḌkī
jab jism jalā parvāne kā
jab apnā hī apnā hī apnā na rahā
tab shikva kyā begāne kā
jab apne hāthoñ zahr piyā
kyā jurm hai tab paimāne kā
jab har darvāza band huā
bas vā hai dar maiḳhāne kā
ab dard ke maare kaise ji.eñ
aur rasta nahīñ mar jaane kā
jab dil kī jalan bardāsht na ho
kyā sāmāñ dil bahlāne kā
ummīdeñ 'bismil' TuuT ga.iiñ
kyā samjhānā dīvāne kā
jab dil TuTa diwane ka
aaghaz hua afsane ka
tab aur shama ki lau bhaDki
jab jism jala parwane ka
jab apna hi apna hi apna na raha
tab shikwa kya begane ka
jab apne hathon zahr piya
kya jurm hai tab paimane ka
jab har darwaza band hua
bas wa hai dar maiKHane ka
ab dard ke mare kaise jien
aur rasta nahin mar jaane ka
jab dil ki jalan bardasht na ho
kya saman dil bahlane ka
ummiden 'bismil' TuT gain
kya samjhana diwane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.