jab din chaDha badan pe badan si saji qamis
jab din chaḌhā badan pe badan sī sajī qamīs
utrī jo raat ghar meñ badan raat kī qamīs
do-chār saal pahle jise DhūñDte the vo
jī chāhtā hai phir se pahniye vahī qamīs
us kā durusht lahja use is tarah phabā
silky badan pe jaise saje khurdurī qamīs
chehre pe phailtā hai vahī jogiyā badan
āñkhoñ meñ kauñdtī hai vahī beḳhnī qamīs
āḳhir kahāñ kahāñ se rafū kījiye ise
ab to jahāñ-tahāñ se nikalne lagī qamīs
badlī jo jagmagāte hue chāñd par paḌī
yaad aa ga.ī kisī kī badan se bharī qamīs
jī chāhtā hai aaj alganī ye dekhiye
saarī vahī saped vahī kāsnī qamīs
kis se gilā kareñ ki ga.ī jhol rah ga.e
jaisī bhī mil ga.ī hai pahniye yahī qamīs
jab din chaDha badan pe badan si saji qamis
utri jo raat ghar mein badan raat ki qamis
do-chaar sal pahle jise DhunDte the wo
ji chahta hai phir se pahniye wahi qamis
us ka durusht lahja use is tarah phaba
silky badan pe jaise saje khurduri qamis
chehre pe phailta hai wahi jogiya badan
aankhon mein kaundti hai wahi beKHni qamis
aaKHir kahan kahan se rafu kijiye ise
ab to jahan-tahan se nikalne lagi qamis
badli jo jagmagate hue chand par paDi
yaad aa gai kisi ki badan se bhari qamis
ji chahta hai aaj algani ye dekhiye
sari wahi saped wahi kasni qamis
kis se gila karen ki gai jhol rah gae
jaisi bhi mil gai hai pahniye yahi qamis
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.