jab diye se diyā jalā.ūñgā
maiñ havā ko nahīñ batā.ūñgā
maiñ koī dūsrā sikandar huuñ
ḳhizr ko rāsta dikhā.ūñgā
ai mirā haat dekhne vaale
maiñ tirā zā.icha banā.ūñgā
tum bahut bolne ke aadī ho
maiñ tumheñ bolnā sikhā.ūñgā
yaad ā.ūñgā yā nahīñ tujh ko
maiñ tujhe soch kar batā.ūñgā
hijr bhī rāste meñ paḌtā hai
hijr meñ rāsta banā.ūñgā
bhuul jā.ūñgā yaad se tujh ko
yaad aaya to bhuul jā.ūñgā
jab diye se diya jalaunga
main hawa ko nahin bataunga
main koi dusra sikandar hun
KHizr ko rasta dikhaunga
ai mera hat dekhne wale
main tera zaicha banaunga
tum bahut bolne ke aadi ho
main tumhein bolna sikhaunga
yaad aaunga ya nahin tujh ko
main tujhe soch kar bataunga
hijr bhi raste mein paDta hai
hijr mein rasta banaunga
bhul jaunga yaad se tujh ko
yaad aaya to bhul jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.