jab duaon se man ki mili zindagi
jab du'āoñ se maañ kī milī zindagī
be-sabab kyoñ kisī se Darī zindagī
dekh kar vo mujhe aaj sharmā.e kyā
yuuñ lagā jaise khil sī ga.ī zindagī
ek muddat se merī ḳhushī ke liye
jī rahā hai koī ġham-bharī zindagī
tū jo bichhḌā to kah dūñgā maiñ pyaar se
alvidā' ab tujhe ai mirī zindagī
mere hisse meñ kyoñ itne ġham aa ga.e
sochtā huuñ yahī har ghaḌī zindagī
dard sahne kī ab mujh meñ himmat nahīñ
ai ḳhudā kar 'atā pyaar kī zindagī
jab du'aon se man ki mili zindagi
be-sabab kyon kisi se Dari zindagi
dekh kar wo mujhe aaj sharmae kya
yun laga jaise khil si gai zindagi
ek muddat se meri KHushi ke liye
ji raha hai koi gham-bhari zindagi
tu jo bichhDa to kah dunga main pyar se
alwida' ab tujhe ai meri zindagi
mere hisse mein kyon itne gham aa gae
sochta hun yahi har ghaDi zindagi
dard sahne ki ab mujh mein himmat nahin
ai KHuda kar 'ata pyar ki zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.