jab ghar hi juda juda rahega
jab ghar hī judā judā rahegā
phir haath meñ haath kyā rahegā
vo mere ḳhayāl kā shajar hai
āñkhoñ meñ harā-bharā rahegā
mehmān vo ḳhāl-o-ḳhad raheñge
jab tak marā shab-kada rahegā
rishta mire sāhil-e-nafas se
is mauj-e-sarāb kā rahegā
vo harf jo us ne likh diyā hai
tā-umr yūñhī likhā rahegā
ai mo.ajaza-e-havā sunā de
vo mujh meñ sadā khilā rahegā
jab ghar hi juda juda rahega
phir hath mein hath kya rahega
wo mere KHayal ka shajar hai
aankhon mein hara-bhara rahega
mehman wo KHal-o-KHad rahenge
jab tak mara shab-kada rahega
rishta mere sahil-e-nafas se
is mauj-e-sarab ka rahega
wo harf jo us ne likh diya hai
ta-umr yunhi likha rahega
ai moajaza-e-hawa suna de
wo mujh mein sada khila rahega
- Book : meyaar (Pg. 346)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.