jab ghaTa jhum ke aati hai to pi leta hun
jab ghaTā jhuum ke aatī hai to pī letā huuñ
fasl-e-gul dhuum machātī hai to pī letā huuñ
chāñdnī meñ to kabhī chhāñv meñ tāroñ kī kabhī
raat hañs hañs ke bulātī hai to pī letā huuñ
yā kabhī terī judā.ī kī sulagtī huī shaam
ruuh meñ aag lagātī hai to pī letā huuñ
jab kabhī jashn manātā huuñ ġham-e-daurāñ kā
mai bhī us jashn meñ aatī hai to pī letā huuñ
kabhī hālāt kī talḳhī to kabhī fikr-e-jahāñ
ġham-zada dil ko dukhātī hai to pī letā huuñ
maiñ kabhī ḳhud nahīñ piitā ki ḳhudā shāhid hai
āsmāñ se utar aatī hai to pī letā huuñ
apnī har shaam to be-mai hī guzartī hai 'payām'
bazm-e-mai-ḳhāna pilātī hai to pī letā huuñ
jab ghaTa jhum ke aati hai to pi leta hun
fasl-e-gul dhum machati hai to pi leta hun
chandni mein to kabhi chhanw mein taron ki kabhi
raat hans hans ke bulati hai to pi leta hun
ya kabhi teri judai ki sulagti hui sham
ruh mein aag lagati hai to pi leta hun
jab kabhi jashn manata hun gham-e-dauran ka
mai bhi us jashn mein aati hai to pi leta hun
kabhi haalat ki talKHi to kabhi fikr-e-jahan
gham-zada dil ko dukhati hai to pi leta hun
main kabhi KHud nahin pita ki KHuda shahid hai
aasman se utar aati hai to pi leta hun
apni har sham to be-mai hi guzarti hai 'payam'
bazm-e-mai-KHana pilati hai to pi leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.