jab gulistan na raha apna gulistan ki tarah
jab gulistāñ na rahā apnā gulistāñ kī tarah
āshiyāñ kyoñ na lage phir hameñ zindāñ kī tarah
vo nazar pher ke ab mujh se guzar jaate haiñ
jo samajhte the kabhī mujh ko rag-e-jāñ kī tarah
jitnā suljhāyā ise aur ulajhtī hī ga.ī
zindagī bhī hai mirī gesu-e-pechāñ kī tarah
koī bilqīs mire ghar meñ bhī mehmāñ hotī
merī taqdīr bhī hotī jo sulaimāñ kī tarah
dost samjhūñ maiñ kise aur kise dushman jānūñ
yuuñ to sab milte haiñ mujh se gul-e-ḳhandāñ kī tarah
mujh ko har moḌ pe mushkil se bachā letī hai
hai merī maañ kī duā mere nigahbāñ kī tarah
haiñ ba-zāhir to sabhī aadmī lekin ai 'farāz'
koī miltā nahīñ is daur meñ insāñ kī tarah
jab gulistan na raha apna gulistan ki tarah
aashiyan kyon na lage phir hamein zindan ki tarah
wo nazar pher ke ab mujh se guzar jate hain
jo samajhte the kabhi mujh ko rag-e-jaan ki tarah
jitna suljhaya ise aur ulajhti hi gai
zindagi bhi hai meri gesu-e-pechan ki tarah
koi bilqis mere ghar mein bhi mehman hoti
meri taqdir bhi hoti jo sulaiman ki tarah
dost samjhun main kise aur kise dushman jaanun
yun to sab milte hain mujh se gul-e-KHandan ki tarah
mujh ko har moD pe mushkil se bacha leti hai
hai meri man ki dua mere nigahban ki tarah
hain ba-zahir to sabhi aadmi lekin ai 'faraaz'
koi milta nahin is daur mein insan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.