jab haar den himmat to muqaddar nahin milta
jab haar den himmat to muqaddar nahin milta
Saqib Tabassum Saqib
MORE BYSaqib Tabassum Saqib
jab haar deñ himmat to muqaddar nahīñ miltā
jangal meñ bhaTakne se kabhī ghar nahīñ miltā
pur-kaif nazāre to bahut se haiñ jahāñ meñ
lekin tire dīdār kā manzar nahīñ miltā
jo mil na sakā us kā maiñ ġham kis liye kartā
insān jo chāhe use aksar nahīñ miltā
hairāñ huuñ ki har shaḳhs yahāñ sang-numā hai
kahte the ki is shahr meñ patthar nahīñ miltā
ye khel muqaddar kā samajh se mirī baalā
kho jaatā hai rasta kabhī rahbar nahīñ miltā
har saañs ukhaḌtī huī ye pūchh rahī hai
pahle sā sukūn ab tire andar nahīñ miltā
jo ġhair ke ġham meñ bhī biphar jaa.e ai 'sāqib'
har aañkh meñ to aisā samundar nahīñ miltā
jab haar den himmat to muqaddar nahin milta
jangal mein bhaTakne se kabhi ghar nahin milta
pur-kaif nazare to bahut se hain jahan mein
lekin tere didar ka manzar nahin milta
jo mil na saka us ka main gham kis liye karta
insan jo chahe use aksar nahin milta
hairan hun ki har shaKHs yahan sang-numa hai
kahte the ki is shahr mein patthar nahin milta
ye khel muqaddar ka samajh se meri baala
kho jata hai rasta kabhi rahbar nahin milta
har sans ukhaDti hui ye puchh rahi hai
pahle sa sukun ab tere andar nahin milta
jo ghair ke gham mein bhi biphar jae ai 'saqib'
har aankh mein to aisa samundar nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.