jab hum us se mil kar aaya karte the
jab ham us se mil kar aayā karte the
saarā din sāhir ko gaayā karte the
jab jab dukh ke bādal chhāyā karte the
ham peḌoñ se milne jaayā karte the
ham mil kar sailāb banāte the pahle
phir ham donoñ naav banāyā karte the
chhoTī baat pe khil uThte the bachchoñ sā
piñjre se panchhī ko uḌāyā karte the
dīvāroñ darvāzoñ aur darīchoñ ko
sab ko us kī baat batāyā karte the
rāteñ kaT jaatī thiiñ jise banāne meñ
din meñ vo tasvīr chhupāyā karte the
ḳhāmoshī jab bhī zaa.e' ho jaatī thī
sahrā meñ jā kar chillāyā karte the
jab hum us se mil kar aaya karte the
sara din sahir ko gaya karte the
jab jab dukh ke baadal chhaya karte the
hum peDon se milne jaya karte the
hum mil kar sailab banate the pahle
phir hum donon naw banaya karte the
chhoTi baat pe khil uThte the bachchon sa
pinjre se panchhi ko uDaya karte the
diwaron darwazon aur darichon ko
sab ko us ki baat bataya karte the
raaten kaT jati thin jise banane mein
din mein wo taswir chhupaya karte the
KHamoshi jab bhi zae' ho jati thi
sahra mein ja kar chillaya karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.