jab hamara ishq ek gul par ayan hone laga
jab hamārā ishq ik gul par ayaañ hone lagā
to jigar gulshan meñ ḳhāroñ kā dhuāñ hone lagā
jab se merī jaañ maiñ terā rāzdāñ hone lagā
dushman-e-jāñ merā merī jaañ jahāñ hone lagā
sehn-e-dil meñ āmad-e-jān-e-tamanna ho ga.ī
sehn-e-dil dekho mirā bāġh-e-jināñ hone lagā
hazrat-e-ādam kī jab aulād haiñ ham sab to phir
kyoñ fulāñ ibn-e-fulāñ ibn-e-fulāñ hone lagā
dāstān-e-ġham batā jān-e-vafā kis se kaheñ
dard-e-dil dard-e-jigar ab dard-e-jāñ hone lagā
naam pe ab ishq ke miTtī hai jismoñ kī havas
ḳhatm sachche ishq kā nām-o-nishāñ hone lagā
tū difā karnā dil-e-nāzuk kī mere kibriyā
jānib-e-rāh-e-muhabbat dil ravāñ hone lagā
hasrat-e-dīdār-e-jān-e-jāñ kī ḳhātir dekhiye
qalb merā dostoñ qalb-e-tapāñ hone lagā
ḳhatm saare dekhiye āsār-e-mahshar ho ga.e
āftāb-e-hashr nazroñ se nihāñ hone lagā
mubtalā hai soch meñ ye dekh ke duniyā 'shajar'
kyoñ musallā chādar-e-āb-e-ravāñ hone lagā
jab hamara ishq ek gul par ayan hone laga
to jigar gulshan mein KHaron ka dhuan hone laga
jab se meri jaan main tera raazdan hone laga
dushman-e-jaan mera meri jaan jahan hone laga
sehn-e-dil mein aamad-e-jaan-e-tamanna ho gai
sehn-e-dil dekho mera bagh-e-jinan hone laga
hazrat-e-adam ki jab aulad hain hum sab to phir
kyon fulan ibn-e-fulan ibn-e-fulan hone laga
dastan-e-gham bata jaan-e-wafa kis se kahen
dard-e-dil dard-e-jigar ab dard-e-jaan hone laga
nam pe ab ishq ke miTti hai jismon ki hawas
KHatm sachche ishq ka nam-o-nishan hone laga
tu difa karna dil-e-nazuk ki mere kibriya
jaanib-e-rah-e-muhabbat dil rawan hone laga
hasrat-e-didar-e-jaan-e-jaan ki KHatir dekhiye
qalb mera doston qalb-e-tapan hone laga
KHatm sare dekhiye aasar-e-mahshar ho gae
aaftab-e-hashr nazron se nihan hone laga
mubtala hai soch mein ye dekh ke duniya 'shajar'
kyon musalla chadar-e-ab-e-rawan hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.