jab hamari zindagi ke dard filmae gae
jab hamārī zindagī ke dard filmā.e ga.e
dostoñ ke hukm se sab scene kaTvā.e ga.e
chhoTī chhoTī chādareñ bikne lagīñ bāzār meñ
aur phir un se ziyāda paañv phailā.e ga.e
Tā.iloñ kī sang-e-marmar kī zamīneñ dī ga.iiñ
is tarah kāñToñ pe chalne vaale phuslā.e ga.e
dil pukārā har ishārā toḌ do gaaḌī bhagāo
aur saḌak bolī bahut se is tarah aa.e ga.e
muñh meñ angāre ko rakhne vaalā bachcha bach gayā
muñh meñ añgāre ko sah sah kar ḳhudā Dhaa.e ga.e
zindagī rone ko vaqt-e-muḳhtasar kā naam hai
aur ham bachche haiñ jo jannat se bahlā.e ga.e
jab hamari zindagi ke dard filmae gae
doston ke hukm se sab scene kaTwae gae
chhoTi chhoTi chadaren bikne lagin bazar mein
aur phir un se ziyaada panw phailae gae
Tailon ki sang-e-marmar ki zaminen di gain
is tarah kanTon pe chalne wale phuslae gae
dil pukara har ishaara toD do gaDi bhagao
aur saDak boli bahut se is tarah aae gae
munh mein angare ko rakhne wala bachcha bach gaya
munh mein angare ko sah sah kar KHuda Dhae gae
zindagi rone ko waqt-e-muKHtasar ka nam hai
aur hum bachche hain jo jannat se bahlae gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.