jab ishq ka junun mere sar par sawar tha
jab ishq kā junūñ mire sar par savār thā
dil ko qarār thā na jigar ko qarār thā
dil be-qarār thā na jigar be-qarār thā
terā ḳhayāl paas shab-e-intizār thā
phūloñ ke haar turbat-e-aġhyār par chaḌhe
mashq-e-sitam ke vāste merā mazār thā
kyūñkar na dete ġham ko tire dil meñ ham jagah
furqat meñ apnā ek hī to ġham-gusār thā
vo pā.emāl kar ke mire dil ko kahte haiñ
ye dil vahī hai hijr meñ jo be-qarār thā
miltā na thā mizāj dil-e-be-qarār kā
tīr-e-nigāh-e-nāz kā jab vo shikār thā
maiñ kyā kahūñ ki haal mirā kyā thā hijr meñ
din-rāt lab pe nāla-e-be-iḳhtiyār thā
ab dil hai aur zillat-o-rusvā.ī-e-junūñ
'nashtar' kabhī ye māya-e-sad-iftiḳhār thā
jab ishq ka junun mere sar par sawar tha
dil ko qarar tha na jigar ko qarar tha
dil be-qarar tha na jigar be-qarar tha
tera KHayal pas shab-e-intizar tha
phulon ke haar turbat-e-aghyar par chaDhe
mashq-e-sitam ke waste mera mazar tha
kyunkar na dete gham ko tere dil mein hum jagah
furqat mein apna ek hi to gham-gusar tha
wo paemal kar ke mere dil ko kahte hain
ye dil wahi hai hijr mein jo be-qarar tha
milta na tha mizaj dil-e-be-qarar ka
tir-e-nigah-e-naz ka jab wo shikar tha
main kya kahun ki haal mera kya tha hijr mein
din-raat lab pe nala-e-be-iKHtiyar tha
ab dil hai aur zillat-o-ruswai-e-junun
'nashtar' kabhi ye maya-e-sad-iftiKHar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.