jab jab bhi humne ham-nashin dil ka kaha nahin kiya
jab jab bhī ham ne ham-nashīñ dil kā kahā nahīñ kiyā
aisā lagā hai zindagī kā haq adā nahīñ kiyā
kahne ko yuuñ to aap se shikve hazār the magar
ham ne kabhī ḳhilāf-e-dil koī gilā nahīñ kiyā
dil ke muāmlāt the dil meñ hī dafn kar liye
us bevafā se ham ne phir zikr-e-vafā nahīñ kiyā
kuchh to huā zarūr hai ham se agar ḳhafā hai vo
ham ne to jān-būjh kar us ko ḳhafā nahīñ kiyā
kār-e-jahāñ meñ ḳhūb-tar guzrī hai apnī zindagī
lekin ye dil pe bojh hai kār-e-ḳhudā nahīñ kiyā
tanhā.iyoñ meñ ḳhud se hī ham mahv-e-guftugū rahe
us ke sivā kisī se phir ahd-e-vafā nahīñ kiyā
aisā bhī daur-e-zīst thā shah-rag se vo qarīb thā
ab hai vo be-niyāz to ham ne pata nahīñ kiyā
ā.eñge lauT kar vo hī dil ko yaqīñ thā is liye
ham ne kisī ke vāste darvāza vā nahīñ kiyā
jab jab bhi hum ne ham-nashin dil ka kaha nahin kiya
aisa laga hai zindagi ka haq ada nahin kiya
kahne ko yun to aap se shikwe hazar the magar
hum ne kabhi KHilaf-e-dil koi gila nahin kiya
dil ke muamlat the dil mein hi dafn kar liye
us bewafa se hum ne phir zikr-e-wafa nahin kiya
kuchh to hua zarur hai hum se agar KHafa hai wo
hum ne to jaan-bujh kar us ko KHafa nahin kiya
kar-e-jahan mein KHub-tar guzri hai apni zindagi
lekin ye dil pe bojh hai kar-e-KHuda nahin kiya
tanhaiyon mein KHud se hi hum mahw-e-guftugu rahe
us ke siwa kisi se phir ahd-e-wafa nahin kiya
aisa bhi daur-e-zist tha shah-rag se wo qarib tha
ab hai wo be-niyaz to hum ne pata nahin kiya
aaenge lauT kar wo hi dil ko yaqin tha is liye
hum ne kisi ke waste darwaza wa nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.