jab jab mujhe mili hai wo bimar si lagi
jab jab mujhe milī hai vo bīmār sī lagī
tūfāñ ke biich ret kī dīvār sī lagī
us ne ka.ī havāle uchhāle jo ek saath
dīmak-zada kitāboñ kā ambār sī lagī
āñkhoñ ko baat kahne kā andāz aa gayā
kam-goī apne aap meñ ġham-ḳhvār sī lagī
go ḳhud-supurdagī kā vo 'ālam bhalā lagā
lekin tabī’atan vo adākār sī lagī
is bhiiḌ meñ to jiine kī ye aarzū mujhe
sar par Tañgī huī koī talvār sī lagī
sab rang apnī bāñhoñ meñ tanhā sameT luuñ
ḳhvāhish kī ye talab bhī gunahgār sī lagī
jab jab mujhe mili hai wo bimar si lagi
tufan ke bich ret ki diwar si lagi
us ne kai hawale uchhaale jo ek sath
dimak-zada kitabon ka ambar si lagi
aankhon ko baat kahne ka andaz aa gaya
kam-goi apne aap mein gham-KHwar si lagi
go KHud-supurdagi ka wo 'alam bhala laga
lekin tabi’atan wo adakar si lagi
is bhiD mein to jine ki ye aarzu mujhe
sar par Tangi hui koi talwar si lagi
sab rang apni banhon mein tanha sameT lun
KHwahish ki ye talab bhi gunahgar si lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.