jab jab rafaqaton se guzarna paDa mujhe
jab jab rafāqatoñ se guzarnā paḌā mujhe
pur-ḳhār vādiyoñ meñ utarnā paḌā mujhe
ahd-e-taġhayyurāt meñ jiine ke naam par
apnī rivāyatoñ se mukarnā paḌā mujhe
dariyā ke shor-o-shar se meñ ḳhā.if na thā magar
sāhil ke intishār se Darnā paḌā mujhe
bachpan ke sab nuqūsh nigāhoñ meñ phir ga.e
kuchh din jo apne gaañv Thaharnā paḌā mujhe
ik lamha-e-hayāt kī taz.īn ke liye
sadiyoñ simaT simaT ke bikharnā paḌā mujhe
us manzil-fareb se guzrā huuñ maiñ jahāñ
apnā bhī e'tibār na karnā paḌā mujhe
jab jab rafaqaton se guzarna paDa mujhe
pur-KHar wadiyon mein utarna paDa mujhe
ahd-e-taghayyuraat mein jine ke nam par
apni riwayaton se mukarna paDa mujhe
dariya ke shor-o-shar se mein KHaif na tha magar
sahil ke intishaar se Darna paDa mujhe
bachpan ke sab nuqush nigahon mein phir gae
kuchh din jo apne ganw Thaharna paDa mujhe
ek lamha-e-hayat ki tazin ke liye
sadiyon simaT simaT ke bikharna paDa mujhe
us manzil-fareb se guzra hun main jahan
apna bhi e'tibar na karna paDa mujhe
- Book : Mauj-e-Sarab (Pg. 108)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Rehbar Jaunpuri (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.