jab jawani nahin to phir kya hai
jab javānī nahīñ to phir kyā hai
zindagānī nahīñ to phir kyā hai
nazm vasf-e-dahan jo kartā huuñ
ġhaib-dānī nahīñ to phir kyā hai
huur ke zikr par bigaḌte ho
bad-gumānī nahīñ to phir kyā hai
ḳhuub dekhī shabīh yūsuf kī
naqsh-e-sānī nahīñ to phir kyā hai
ḳhush-navāyān-e-bāġh-o-kunj-e-qafas
dāna-pānī nahīñ to phir kyā hai
naaz uThte nahīñ hasīnoñ ke
nā-tavānī nahīñ to phir kyā hai
dī jagah mujh ko apne pahlū meñ
mehrbānī nahīñ to phir kyā hai
arinī kā javāb ai muusā
lan-tarānī nahīñ to phir kyā hai
dil-e-muztar meñ daaġh chhalle kā
ye nishānī nahīñ to phir kyā hai
ho pareshān mujh se ḳhalvat meñ
bad-gumānī nahīñ to phir kyā hai
ātish-e-tar ko dekh ai vaa.iz
aag paanī nahīñ to phir kyā hai
tire saaqī safed siine meñ
arġhavānī nahīñ to phir kyā hai
tū sune tuur par kalīm kī baat
ḳhush-bayānī nahīñ to phir kyā hai
zindagī jis ko log kahte haiñ
'badr' faanī nahīñ to phir kyā hai
jab jawani nahin to phir kya hai
zindagani nahin to phir kya hai
nazm wasf-e-dahan jo karta hun
ghaib-dani nahin to phir kya hai
hur ke zikr par bigaDte ho
bad-gumani nahin to phir kya hai
KHub dekhi shabih yusuf ki
naqsh-e-sani nahin to phir kya hai
KHush-nawayan-e-bagh-o-kunj-e-qafas
dana-pani nahin to phir kya hai
naz uThte nahin hasinon ke
na-tawani nahin to phir kya hai
di jagah mujh ko apne pahlu mein
mehrbani nahin to phir kya hai
arini ka jawab ai musa
lan-tarani nahin to phir kya hai
dil-e-muztar mein dagh chhalle ka
ye nishani nahin to phir kya hai
ho pareshan mujh se KHalwat mein
bad-gumani nahin to phir kya hai
aatish-e-tar ko dekh ai waiz
aag pani nahin to phir kya hai
tere saqi safed sine mein
arghawani nahin to phir kya hai
tu sune tur par kalim ki baat
KHush-bayani nahin to phir kya hai
zindagi jis ko log kahte hain
'badr' fani nahin to phir kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.