Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab jhukane lagi duniya yahan mear-e-ishq

Dr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'

jab jhukane lagi duniya yahan mear-e-ishq

Dr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'

MORE BYDr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'

    jab jhukāne lagī duniyā yahāñ me.ār-e-ishq

    tab chale aa.e bachāne use bīmār-e-ishq

    hañste hañste jo chale jaate haiñ ḳhud sū-e-dār

    aise dīvānoñ se mahfūz hai pindār-e-ishq

    chhā ga.e chāroñ taraf vahm-o-gumāñ ke bādal

    terī mizhgāñ se gayā TuuT jo kohsār-e-ishq

    saarī duniyā ko patā hai maiñ use chāhtī huuñ

    maiñ nahīñ us se karūñgī kabhī iz.hār-e-ishq

    har sadaf meñ nahīñ hotā hai guhar vaise bhī

    sab ke dil ko nahīñ miltā hai ye āzār-e-ishq

    phir se ābād nahīñ honā tujhe shahr-e-dil

    phir se ta.amīr nahīñ hotā hai mismār-e-ishq

    merī vahdat nazriya hai zamāne se judā

    kin āvāz ko kahte haiñ ham asrār-e-ishq

    daar to apne liye dair hai duniyā vāloñ

    aur ye tauq to dar-asl hai zunnār-e-ishq

    qāfiyoñ aur radīfoñ meñ to phañsne se rahī

    aise thoḌe na ġhazal hogī giraftār-e-ishq

    jab jhukane lagi duniya yahan mear-e-ishq

    tab chale aae bachane use bimar-e-ishq

    hanste hanste jo chale jate hain KHud su-e-dar

    aise diwanon se mahfuz hai pindar-e-ishq

    chha gae chaaron taraf wahm-o-guman ke baadal

    teri mizhgan se gaya TuT jo kohsar-e-ishq

    sari duniya ko pata hai main use chahti hun

    main nahin us se karungi kabhi izhaar-e-ishq

    har sadaf mein nahin hota hai guhar waise bhi

    sab ke dil ko nahin milta hai ye aazar-e-ishq

    phir se aabaad nahin hona tujhe shahr-e-dil

    phir se tamir nahin hota hai mismar-e-ishq

    meri wahdat ka nazriya hai zamane se juda

    kin ki aawaz ko kahte hain hum asrar-e-ishq

    dar to apne liye dair hai duniya walon

    aur ye tauq to dar-asl hai zunnar-e-ishq

    qafiyon aur radifon mein to phansne se rahi

    aise thoDe na ghazal hogi giraftar-e-ishq

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now