jab jhuT mujhse barsar-e-paikar ho gaya
jab jhuuT mujh se barsar-e-paikār ho gayā
lahja jo merā phuul thā talvār ho gayā
haq baat bolne kī qasam jab se khaa.ī hai
jiinā hamārā shahr meñ dushvār ho gayā
dhoka fareb jhūTe dilāse tasalliyāñ
phir aaj us ke naam ye aḳhbār ho gayā
kirdār apne ghar meñ hī mashkūk jis kā thā
vo shaḳhs hī qabīle kā sardār ho gayā
vo kah rahā thā terī vafā āzmā.ūñgā
maiñ us ke aage āhanī dīvār ho gayā
bai'at kī baat ho ga.ī rusvā jahān meñ
mash.hūr kā.enāt meñ inkār ho gayā
'hānī' ne baat apne buzurgoñ kī maan lī
vo bā-shu.ūr sāhib-e-kirdār ho gayā
jab jhuT mujh se barsar-e-paikar ho gaya
lahja jo mera phul tha talwar ho gaya
haq baat bolne ki qasam jab se khai hai
jina hamara shahr mein dushwar ho gaya
dhoka fareb jhuTe dilase tasalliyan
phir aaj us ke nam ye aKHbar ho gaya
kirdar apne ghar mein hi mashkuk jis ka tha
wo shaKHs hi qabile ka sardar ho gaya
wo kah raha tha teri wafa aazmaunga
main us ke aage aahani diwar ho gaya
bai'at ki baat ho gai ruswa jahan mein
mashhur kaenat mein inkar ho gaya
'hani' ne baat apne buzurgon ki man li
wo ba-shuur sahib-e-kirdar ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.