jab juda peDon se kaT kar Dali Dali ho gai
jab judā peḌoñ se kaT kar Daalī Daalī ho ga.ī
ik tere jañgal kī mājid god ḳhālī ho ga.ī
koī mausam ho ba-har-sūrat havā chaltī rahī
baḌh gayā itnā dhuāñ har shakl kaalī ho ga.ī
mere chehre par likhī thiiñ surḳhiyāñ aḳhbār kī
jo bhī sūrat sāmne aa.ī savālī ho ga.ī
haiñ vahī alfāz lekin vo ma.ānī hī nahīñ
baat sulh-o-āshtī kī aaj gaalī ho ga.ī
terī tasvīroñ pe bhī apnā nahīñ hai iḳhtiyār
fāsla itnā baḌhā sūrat ḳhayālī ho ga.ī
ḳhuuñ kā ḳhatt-e-istavā 'mājid' ta.assub meñ ghirā
pyaar kī bād-e-sabā bād-e-shumālī ho ga.ī
jab juda peDon se kaT kar Dali Dali ho gai
ek tere jangal ki majid god KHali ho gai
koi mausam ho ba-har-surat hawa chalti rahi
baDh gaya itna dhuan har shakl kali ho gai
mere chehre par likhi thin surKHiyan aKHbar ki
jo bhi surat samne aai sawali ho gai
hain wahi alfaz lekin wo maani hi nahin
baat sulh-o-ashti ki aaj gali ho gai
teri taswiron pe bhi apna nahin hai iKHtiyar
fasla itna baDha surat KHayali ho gai
KHun ka KHatt-e-istawa 'majid' tassub mein ghira
pyar ki baad-e-saba baad-e-shumali ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.