jab kabhi aaya to zikr-e-mai-e-gulfam aaya
jab kabhī aayā to zikr-e-mai-e-gulfām aayā
kufr aayā tire rindoñ ko na islām aayā
phir kahāñ bhaag ke jā.eñge ye tere vahshī
gar tirī zulf ke saa.e meñ na ārām aayā
ham to barbād the barbād hī honā thā hameñ
kyoñ tirī chashm-e-'ināyat pe ye ilzām aayā
sī liye hoñTh ki andesha-e-rusvā.ī thā
phir bhī har saañs meñ chhup-chhup ke tirā naam aayā
baat to jab hai bane aaj koī merā harīf
'ishq meñ jaan gañvā dene kā hangām aayā
mai-kade se jo chale dār-o-rasan tak pahuñche
aaj ye pī ke bahaknā bhī bahut kaam aayā
jab kabhi aaya to zikr-e-mai-e-gulfam aaya
kufr aaya tere rindon ko na islam aaya
phir kahan bhag ke jaenge ye tere wahshi
gar teri zulf ke sae mein na aaram aaya
hum to barbaad the barbaad hi hona tha hamein
kyon teri chashm-e-'inayat pe ye ilzam aaya
si liye honTh ki andesha-e-ruswai tha
phir bhi har sans mein chhup-chhup ke tera nam aaya
baat to jab hai bane aaj koi mera harif
'ishq mein jaan ganwa dene ka hangam aaya
mai-kade se jo chale dar-o-rasan tak pahunche
aaj ye pi ke bahakna bhi bahut kaam aaya
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 55)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.