jab kabhi bazar se ghar aae hain
jab kabhī bāzār se ghar aa.e haiñ
apne pīchhe chand patthar aa.e haiñ
karb bechainī aziyyat bebasī
ham pe aise vaqt aksar aa.e haiñ
ek qatre ne ubhārā jab bhī sar
dekhne us ko samundar aa.e haiñ
is zamāne meñ hameñ jiinā paḌā
vaah kyā le kar muqaddar aa.e haiñ
phir fasīl-e-dil shikasta ho ga.ī
aaj phir yādoñ ke lashkar aa.e haiñ
rā.egāñ hai ai 'razā' ūñchī uḌaan
chāñd se bhī sirf patthar aa.e haiñ
jab kabhi bazar se ghar aae hain
apne pichhe chand patthar aae hain
karb bechaini aziyyat bebasi
hum pe aise waqt aksar aae hain
ek qatre ne ubhaara jab bhi sar
dekhne us ko samundar aae hain
is zamane mein hamein jina paDa
wah kya le kar muqaddar aae hain
phir fasil-e-dil shikasta ho gai
aaj phir yaadon ke lashkar aae hain
raegan hai ai 'raza' unchi uDan
chand se bhi sirf patthar aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.