jab kabhi band kare muTThiyan bahar nikle
jab kabhī band kare muTThiyāñ bāhar nikle
sab ke hāthoñ meñ vahī dhuup ke manzar nikle
sab kī āñkhoñ meñ phañse the vahī pathrā.e se ḳhvāb
sab ke sab log tamannāoñ ke aazar nikle
hai ḳharābī isī ta.amīr meñ muzmar terī
mor ḳhush-fahm na itrā ki tire par nikle
ḳhaak hī kar de mujhe garm-nigāhī us kī
ek armān to terā dil-e-muztar nikle
ruuh ko kar ga.e raushan had-e-idrāk talak
zaḳhm mere mirī ummīd se baḌh kar nikle
yuuñ bhī sach hai ki har ik gaam pe ik manzil thī
phir bhī gum-karda tirī raah meñ aksar nikle
kin fusūñ-zād jahānoñ kā safar thā 'vasfī'
ham samajh baiThe jinheñ dasht samundar nikle
jab kabhi band kare muTThiyan bahar nikle
sab ke hathon mein wahi dhup ke manzar nikle
sab ki aankhon mein phanse the wahi pathrae se KHwab
sab ke sab log tamannaon ke aazar nikle
hai KHarabi isi tamir mein muzmar teri
mor KHush-fahm na itra ki tere par nikle
KHak hi kar de mujhe garm-nigahi us ki
ek arman to tera dil-e-muztar nikle
ruh ko kar gae raushan had-e-idrak talak
zaKHm mere meri ummid se baDh kar nikle
yun bhi sach hai ki har ek gam pe ek manzil thi
phir bhi gum-karda teri rah mein aksar nikle
kin fusun-zad jahanon ka safar tha 'wasfi'
hum samajh baiThe jinhen dasht samundar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.