jab kabhi dard ka bazar dikhai de de
jab kabhī dard kā bāzār dikhā.ī de de
daf.atan mujh ko vo kirdār dikhā.ī de de
ek lahja jo kabhī phuul huā kartā thā
ab jo bole hai to talvār dikhā.ī de de
ai ḳhudā bas mujhe duniyā meñ yahī ḳhvāhish hai
mujh ko apnā koī ġham-ḳhvār dikhā.ī de de
chaak par TuuTe hue dil bhī juḌā karte haiñ
maiñ ye pūchhūñgā jo kumhār dikhā.ī de de
maut se qabl mirī āḳhirī ḳhvāhish hai yahī
kaash ik baar vo ruḳhsār dikhā.ī de de
jab kabhi dard ka bazar dikhai de de
dafatan mujh ko wo kirdar dikhai de de
ek lahja jo kabhi phul hua karta tha
ab jo bole hai to talwar dikhai de de
ai KHuda bas mujhe duniya mein yahi KHwahish hai
mujh ko apna koi gham-KHwar dikhai de de
chaak par TuTe hue dil bhi juDa karte hain
main ye puchhunga jo kumhaar dikhai de de
maut se qabl meri aaKHiri KHwahish hai yahi
kash ek bar wo ruKHsar dikhai de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.