jab kabhi hijr ke aasar nazar aate hain
jab kabhī hijr ke āsār nazar aate haiñ
ham usī vaqt se bīmār nazar aate haiñ
us ko bhī raat kī raanī ne magan rakkhā hai
merī khiḌkī se bhī ashjār nazar aate haiñ
sab ne bandūq uThā.ī hai hamārī jānib
ek tum ko hī vafādār nazar aate haiñ
aap se 'ishq to mansūb nahīñ ho saktā
aap vaise bhī samajh-dār nazar aate haiñ
jaan lene kī suhūlat hai mayassar us ko
mujh ko bhī ḳhvāb meñ hathiyār nazar aate haiñ
pārsā.ī se thī pahchān kabhī bastī kī
ab to har samt gunahgār nazar aate haiñ
dekhne vāloñ kī āñkhoñ meñ chubhan hotī hai
ham jo ik saath chamakdār nazar aate haiñ
jab kabhi hijr ke aasar nazar aate hain
hum usi waqt se bimar nazar aate hain
us ko bhi raat ki rani ne magan rakkha hai
meri khiDki se bhi ashjar nazar aate hain
sab ne banduq uThai hai hamari jaanib
ek tum ko hi wafadar nazar aate hain
aap se 'ishq to mansub nahin ho sakta
aap waise bhi samajh-dar nazar aate hain
jaan lene ki suhulat hai mayassar us ko
mujh ko bhi KHwab mein hathiyar nazar aate hain
parsai se thi pahchan kabhi basti ki
ab to har samt gunahgar nazar aate hain
dekhne walon ki aankhon mein chubhan hoti hai
hum jo ek sath chamakdar nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.