jab kabhi husn ka samna kijiye
jab kabhī husn kā sāmnā kījiye
ishq se bhī zarā mashvara kījiye
mas.ala koī paidā na hogā kabhī
apne hī dā.ere meñ rahā kījiye
manzil-e-ishq āsān-tar hai magar
dekhiye sochiye phir chalā kījiye
ek markaz pe aa kar to ruknā hī hai
dā.eroñ ko zarā kuchh baḌā kījiye
hai muhāfiz ḳhudā sab ke har kaam kā
soch kar kaam kī ibtidā kījiye
husn par naaz naḳhra munāsib nahīñ
aa.ina dekh kar jab haTā kījiye
jab kabhi husn ka samna kijiye
ishq se bhi zara mashwara kijiye
masala koi paida na hoga kabhi
apne hi daere mein raha kijiye
manzil-e-ishq aasan-tar hai magar
dekhiye sochiye phir chala kijiye
ek markaz pe aa kar to rukna hi hai
daeron ko zara kuchh baDa kijiye
hai muhafiz KHuda sab ke har kaam ka
soch kar kaam ki ibtida kijiye
husn par naz naKHra munasib nahin
aaina dekh kar jab haTa kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.