jab kabhi KHun mein Thahraw sa aa jata hai
jab kabhi KHun mein Thahraw sa aa jata hai
Mushtaq Ahmad Mushtaq
MORE BYMushtaq Ahmad Mushtaq
jab kabhī ḳhuun meñ Thahrāv sā aa jaatā hai
jazba-e-dil ko mire taav sā aa jaatā hai
shāḳh se TūTte pattoñ kā nazāra kar ke
mere andar kahīñ bikhrāv sā aa jaatā hai
sonā chāñdī hoñ ki patthar ho ki insān koī
maiñ jise chāhūñ use bhaav sā aa jaatā hai
tum se miltā huuñ to jiine kī lalak jāgtī hai
soch meñ fikr meñ phailāv sā aa jaatā hai
rahnumā un ko kahūñ fikr meñ jin kī har-dam
mausamoñ kī tarah badlāv sā aa jaatā hai
choT paḌtī hai kisī jism pe jab bhī 'mushtāq'
kyoñ badan par mire ik ghaav sā aa jaatā hai
jab kabhi KHun mein Thahraw sa aa jata hai
jazba-e-dil ko mere taw sa aa jata hai
shaKH se TuTte patton ka nazara kar ke
mere andar kahin bikhraw sa aa jata hai
sona chandi hon ki patthar ho ki insan koi
main jise chahun use bhaw sa aa jata hai
tum se milta hun to jine ki lalak jagti hai
soch mein fikr mein phailaw sa aa jata hai
rahnuma un ko kahun fikr mein jin ki har-dam
mausamon ki tarah badlaw sa aa jata hai
choT paDti hai kisi jism pe jab bhi 'mushtaq'
kyon badan par mere ek ghaw sa aa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.