jab kabhi shaghl se Khaali ye bashar hota hai
jab kabhī shaġhl se ḳhālī ye bashar hotā hai
to dimāġh us kā shayātīn kā ghar hotā hai
qalb meñ jis ke ho īmān-o-amal kī tāqat
vo kisī se bhī nahīñ Dartā niDar hotā hai
be-amal kī to duā.eñ bhī palaT aatī haiñ
bā-amal kī hī duāoñ meñ asar hotā hai
har zamāne meñ hasad karte haiñ us se kuchh log
jo bhī ārāsta-e-ilm-o-hunar hotā hai
vaqt pāband-e-hazar to kabhī hotā hī nahīñ
vo to har aan hī sargarm-e-safar hotā hai
qadr-o-qīmat nahīñ ab zāt-o-sharāfat kī yahāñ
us kī azmat hai ki jo sāhab-e-zar hotā hai
jo atā kartā hai duniyā ko koī fan-pāra
baa'd marne ke bhī naam us kā amar hotā hai
ham-ḳhayāl apne jo mil jaate haiñ kuchh log 'azīz'
vaqt phir apnā bahut ḳhuub basar hotā hai
jab kabhi shaghl se KHali ye bashar hota hai
to dimagh us ka shayatin ka ghar hota hai
qalb mein jis ke ho iman-o-amal ki taqat
wo kisi se bhi nahin Darta niDar hota hai
be-amal ki to duaen bhi palaT aati hain
ba-amal ki hi duaon mein asar hota hai
har zamane mein hasad karte hain us se kuchh log
jo bhi aarasta-e-ilm-o-hunar hota hai
waqt paband-e-hazar to kabhi hota hi nahin
wo to har aan hi sargarm-e-safar hota hai
qadr-o-qimat nahin ab zat-o-sharafat ki yahan
us ki azmat hai ki jo sahab-e-zar hota hai
jo ata karta hai duniya ko koi fan-para
ba'd marne ke bhi nam us ka amar hota hai
ham-KHayal apne jo mil jate hain kuchh log 'aziz'
waqt phir apna bahut KHub basar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.