jab kabhi zahir hue suraj ke zardile nuqush
jab kabhī zāhir hue sūraj ke zardīle nuqūsh
ḳhud pighalne lag ga.e chehroñ ke barfīle nuqūsh
sun rahe the har taraf apnī sadā kī bāzgasht
har taraf bikhre hue the zehn ke Dhīle nuqūsh
sā.atoñ kā qāfila sākit khaḌā thā jism meñ
chalte phirte the magar sāñsoñ ke pathrīle nuqūsh
jab purāne chand rishtoñ ko kiyā thā ustuvār
zehn meñ yak-laḳht ubhre saare chamkīle nuqūsh
vahshatoñ kī raushnā.ī bah ga.ī kāġhaz pe jab
dahr meñ har samt the jangal ke zahrīle nuqūsh
ham ne boyā thā badan ke khet meñ tuḳhm-e-havas
kāTte haiñ rāhatoñ kī fasl zardīle nuqūsh
kitnī āsānī farāham kī thī 'jāmī' vaqt ne
mil rahe the rāste meñ niile aur piile nuqūsh
jab kabhi zahir hue suraj ke zardile nuqush
KHud pighalne lag gae chehron ke barfile nuqush
sun rahe the har taraf apni sada ki bazgasht
har taraf bikhre hue the zehn ke Dhile nuqush
saaton ka qafila sakit khaDa tha jism mein
chalte phirte the magar sanson ke pathrile nuqush
jab purane chand rishton ko kiya tha ustuwar
zehn mein yak-laKHt ubhre sare chamkile nuqush
wahshaton ki raushnai bah gai kaghaz pe jab
dahr mein har samt the jangal ke zahrile nuqush
hum ne boya tha badan ke khet mein tuKHm-e-hawas
kaTte hain rahaton ki fasl zardile nuqush
kitni aasani faraham ki thi 'jami' waqt ne
mil rahe the raste mein nile aur pile nuqush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.