jab kami aai zara si qahr mein
jab kamī aa.ī zarā sī qahr meñ
aa gayā tūfān saare bahr meñ
jañgaloñ meñ haiñ abhī insāñ ka.ī
bas rahe haiñ saañp kitne shahr meñ
qatl bhī iḳhlās se ḳhālī nahīñ
shahd shāmil kar rahā hai zahr meñ
har koī khoyā huā hai zaat meñ
mast hai gul rang-o-bū ke sehr meñ
ġhurbatoñ kī dhuup meñ dekhegā kaun
chāñd bhī aa jaa.e gar dopahr meñ
thā vo kitne panchhiyoñ kā ik kafīl
maar ke pheñkā gayā jo nahr meñ
aañkh meñ vo ashk le aaya 'ḳhizar'
maiñ ne dekhā bahr ko ik dahr meñ
jab kami aai zara si qahr mein
aa gaya tufan sare bahr mein
jangalon mein hain abhi insan kai
bas rahe hain sanp kitne shahr mein
qatl bhi iKHlas se KHali nahin
shahd shamil kar raha hai zahr mein
har koi khoya hua hai zat mein
mast hai gul rang-o-bu ke sehr mein
ghurbaton ki dhup mein dekhega kaun
chand bhi aa jae gar dopahr mein
tha wo kitne panchhiyon ka ek kafil
mar ke phenka gaya jo nahr mein
aankh mein wo ashk le aaya 'KHizar'
main ne dekha bahr ko ek dahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.