jab KHak uData hua nindon ka safar ho
jab ḳhaak uḌātā huā nīñdoñ kā safar ho
phir kyoñ na kisī aur hī duniyā se guzar ho
vo mere barābar se nikal aaya thā varna
dīvār na thī aisī ki jis meñ koī dar ho
maiñ jism se guzrā huuñ yahī soch ke aksar
shāyad ki tirī ruuh kā is raah meñ ghar ho
ye kaisī tamannā hai ki is dasht meñ 'faisal'
dariyā ho kināra ho safīna ho bhañvar ho
jab KHak uData hua nindon ka safar ho
phir kyon na kisi aur hi duniya se guzar ho
wo mere barabar se nikal aaya tha warna
diwar na thi aisi ki jis mein koi dar ho
main jism se guzra hun yahi soch ke aksar
shayad ki teri ruh ka is rah mein ghar ho
ye kaisi tamanna hai ki is dasht mein 'faisal'
dariya ho kinara ho safina ho bhanwar ho
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 583)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.