jab KHayalon mein huma ke par jala deti hun main
jab ḳhayāloñ meñ humā ke par jalā detī huuñ maiñ
fikr kī parvāz ke jauhar jalā detī huuñ maiñ
ḳhauf-e-rusvā.ī se ghabrā kar jalā detī huuñ maiñ
chiTThiyāñ fauran tirī paḌh kar jalā detī huuñ maiñ
karvaTeñ letā hai terī yaad meñ jaltā badan
niiñd jab aatī nahīñ bistar jalā detī huuñ maiñ
raat kī tārīkiyoñ meñ ghar mirā raushan rahe
ik diyā dahlīz ke bāhar jalā detī huuñ maiñ
bārhā barq-e-tapāñ ko kis liye taklīf duuñ
apne hī hāthoñ se apnā ghar jalā detī huuñ maiñ
jab KHayalon mein huma ke par jala deti hun main
fikr ki parwaz ke jauhar jala deti hun main
KHauf-e-ruswai se ghabra kar jala deti hun main
chiTThiyan fauran teri paDh kar jala deti hun main
karwaTen leta hai teri yaad mein jalta badan
nind jab aati nahin bistar jala deti hun main
raat ki tarikiyon mein ghar mera raushan rahe
ek diya dahliz ke bahar jala deti hun main
barha barq-e-tapan ko kis liye taklif dun
apne hi hathon se apna ghar jala deti hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.