jab KHilaf-e-maslahat jine ki naubat aai thi
jab ḳhilāf-e-maslahat jiine kī naubat aa.ī thī
Duub marte Duub marne meñ agar dānā.ī thī
maiñ to har mumkin use laatā rahā tere qarīb
kyā karūñ ai dil tirī taqdīr meñ tanhā.ī thī
ḳhauf kā ifrīt sāñseñ le rahā thā dasht meñ
raat ke chehre pe sannāTe kī dahshat chhā.ī thī
ek ye naubat ki vahshat DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ
ek vo mausam ki gulshan kī huā sahrā.ī thī
āsmāñ se gir rahī thī shoḳh rañgoñ kī phuvār
merī āñkhoñ meñ tire dīdār kī ra.anā.ī thī
shab-gazīdoñ se hisāb-e-ġham chukāne ke liye
tum na aa.e the magar sub.h-e-qayāmat aa.ī thī
maiñ kidhar jaatā ki har jānib zabān-e-ḳhalq thī
maiñ kahāñ chhuptā ki mere khoj meñ rusvā.ī thī
dahr meñ mash.hūr thī 'shāhid' mirī be-chārgī
aur an-dekhe jahānoñ par mirī dārā.ī thī
jab KHilaf-e-maslahat jine ki naubat aai thi
Dub marte Dub marne mein agar danai thi
main to har mumkin use lata raha tere qarib
kya karun ai dil teri taqdir mein tanhai thi
KHauf ka ifrit sansen le raha tha dasht mein
raat ke chehre pe sannaTe ki dahshat chhai thi
ek ye naubat ki wahshat DhunDhta phirta hun main
ek wo mausam ki gulshan ki hua sahrai thi
aasman se gir rahi thi shoKH rangon ki phuwar
meri aankhon mein tere didar ki ranai thi
shab-gazidon se hisab-e-gham chukane ke liye
tum na aae the magar subh-e-qayamat aai thi
main kidhar jata ki har jaanib zaban-e-KHalq thi
main kahan chhupta ki mere khoj mein ruswai thi
dahr mein mashhur thi 'shahid' meri be-chaargi
aur an-dekhe jahanon par meri darai thi
- Book : meyaar (Pg. 356)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.