jab KHuda mehrban hai pyare
jab ḳhudā mehrbān hai pyāre
mehrbāñ kul jahān hai pyāre
mujh se kyoñ bad-gumān hai pyāre
tū mirā dil hai jaan hai pyāre
kyoñ mareñ ham kisī kī ulfat meñ
jaan hai to jahān hai pyāre
hālat-e-dil na pūchh ai hamdam
ik baḌī dāstān hai pyāre
aadmī kā burā-bhalā sab kuchh
aadmī kī zabān hai pyāre
be-natīja hai āj-kal ulfat
muft kī khīñch-tān hai pyāre
pyaar kaise na aa.e urdu par
kaisī pyārī zabān hai pyāre
sach hai be-māya kī zamāne meñ
koī izzat na shaan hai pyāre
āḳhirī ghar kī fikr kar ai dil
tū yahāñ mehmān hai pyāre
ham tumhāre haiñ tum hamāre ho
parda kyoñ darmiyān hai pyāre
be-takalluf raho mire dil meñ
ye tumhārā makān hai pyāre
kaun buDDhoñ ko pūchhtā hai 'atā'
laakh himmat javān hai pyāre
jab KHuda mehrban hai pyare
mehrban kul jahan hai pyare
mujh se kyon bad-guman hai pyare
tu mera dil hai jaan hai pyare
kyon maren hum kisi ki ulfat mein
jaan hai to jahan hai pyare
haalat-e-dil na puchh ai hamdam
ek baDi dastan hai pyare
aadmi ka bura-bhala sab kuchh
aadmi ki zaban hai pyare
be-natija hai aaj-kal ulfat
muft ki khinch-tan hai pyare
pyar kaise na aae urdu par
kaisi pyari zaban hai pyare
sach hai be-maya ki zamane mein
koi izzat na shan hai pyare
aaKHiri ghar ki fikr kar ai dil
tu yahan mehman hai pyare
hum tumhaare hain tum hamare ho
parda kyon darmiyan hai pyare
be-takalluf raho mere dil mein
ye tumhaara makan hai pyare
kaun buDDhon ko puchhta hai 'ata'
lakh himmat jawan hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.