jab KHushi bhi KHushi nahin hoti
jab ḳhushī bhī ḳhushī nahīñ hotī
zindagī zindagī nahīñ hotī
tere jalve agar na shāmil hoñ
chāñdnī chāñdnī nahīñ hotī
kabhī hotā bhī hai nazar kā fareb
āgahī āgahī nahīñ hotī
jo na paidā ho shān-e-'abdiyyat
bandagī bandagī nahīñ hotī
sab karishme haiñ 'ishq ke varna
dilbarī dilbarī nahīñ hotī
jo na pākīza ho mazāq-e-hayāt
'āshiqī 'āshiqī nahīñ hotī
kabhī hotī hai parda-dārī-e-hosh
be-ḳhudī be-ḳhudī nahīñ hotī
ai ḳhushā tarz-e-iltifāt ki jab
barhamī barhamī nahīñ hotī
ho na 'irfān-e-nafs agar 'in'ām'
shā'irī shā'irī nahīñ hotī
jab KHushi bhi KHushi nahin hoti
zindagi zindagi nahin hoti
tere jalwe agar na shamil hon
chandni chandni nahin hoti
kabhi hota bhi hai nazar ka fareb
aagahi aagahi nahin hoti
jo na paida ho shan-e-'abdiyyat
bandagi bandagi nahin hoti
sab karishme hain 'ishq ke warna
dilbari dilbari nahin hoti
jo na pakiza ho mazaq-e-hayat
'ashiqi 'ashiqi nahin hoti
kabhi hoti hai parda-dari-e-hosh
be-KHudi be-KHudi nahin hoti
ai KHusha tarz-e-iltifat ki jab
barhami barhami nahin hoti
ho na 'irfan-e-nafs agar 'in'am'
sha'iri sha'iri nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.