jab ki insan ki taqdir bigaD jati hai
jab ki insān kī taqdīr bigaḌ jaatī hai
jo banātā hai vo tadbīr bigaḌ jaatī hai
ḳhat likhūñ un ko to tahrīr bigaḌ jaatī hai
kuchh kahūñ muñh se to taqrīr bigaḌ jaatī hai
dekh kar mujh ko bal aatā hai tirī abrū meñ
saḳht jaañ vo huuñ ki shamshīr bigaḌ jaatī hai
sifat-e-ġhair mujhī se hai inhīñ bātoñ par
merī terī but-e-be-pīr bigaḌ jaatī hai
bad-mizājī kī ye sūrat hai ki maanī se bhī
khiñchte khiñchte tirī tasvīr bigaḌ jaatī hai
jab se us zulf-e-pareshāñ kā hai saudā sar meñ
mirī har ḳhvāb kī ta.abīr bigaḌ jaatī hai
mirī taqdīr hai barham to ba-vaqt-e-fariyād
nāla-e-āh kī tāsīr bigaḌ jaatī hai
haath rakhtā huuñ jo maiñ sar pe qasam khāne ko
aap kī zulf-e-girah-gīr bigaḌ jaatī hai
vasl kā kar ke vo iqrār mukar jaate haiñ
haa.e ban ban ke ye taqdīr bigaḌ jaatī hai
kyā huā vo jo na dāvat meñ bhī aa.e 'sābir'
ye to tadbīr hai taqdīr bigaḌ jaatī hai
jab ki insan ki taqdir bigaD jati hai
jo banata hai wo tadbir bigaD jati hai
KHat likhun un ko to tahrir bigaD jati hai
kuchh kahun munh se to taqrir bigaD jati hai
dekh kar mujh ko bal aata hai teri abru mein
saKHt jaan wo hun ki shamshir bigaD jati hai
sifat-e-ghair mujhi se hai inhin baaton par
meri teri but-e-be-pir bigaD jati hai
bad-mizaji ki ye surat hai ki mani se bhi
khinchte khinchte teri taswir bigaD jati hai
jab se us zulf-e-pareshan ka hai sauda sar mein
meri har KHwab ki tabir bigaD jati hai
meri taqdir hai barham to ba-waqt-e-fariyaad
nala-e-ah ki tasir bigaD jati hai
hath rakhta hun jo main sar pe qasam khane ko
aap ki zulf-e-girah-gir bigaD jati hai
wasl ka kar ke wo iqrar mukar jate hain
hae ban ban ke ye taqdir bigaD jati hai
kya hua wo jo na dawat mein bhi aae 'sabir'
ye to tadbir hai taqdir bigaD jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.