jab ki sari kaenat uski nigahbani mein hai
jab ki saarī kā.enāt us kī nigahbānī meñ hai
dil azal hī se na jaane kaisī hairānī meñ hai
merī fitrat bhī to shāmil merī nādānī meñ hai
laġhzish-e-ādam jo pinhāñ ḳhūn-e-insānī meñ hai
jaane kis hangām meñ Daalī ga.ī buniyād-e-dil
dil jo ab tak mubtalā ranj-o-pareshānī meñ hai
duur kar detā hai bas ik pal meñ sab shikve-gile
ye karishma bhī kisī kī aañkh ke paanī meñ hai
kyā samajh pā.eñge ye ahl-e-ḳhirad is raaz ko
lutf dānā.ī meñ kab vo hai jo nādānī meñ hai
dil meñ aatā hai hisār-e-har-talab ko toḌ duuñ
aisī ḳhvāhish bhī tamannāoñ kī tuġhyānī meñ hai
ho ga.ī aadam se ye kaisī ḳhatā jis ke 'evaz
nasl-e-ādam aaj tak aisī pashemānī meñ hai
koī sūrat jab na ban paa.ī to ronā aa gayā
kuchh to taskīn-e-ġham-e-dil ashk-afshānī meñ hai
gar mile ḳhud meñ samo leñ saare insānoñ kā dard
is qadar vus'at hamārī tañg-dāmānī meñ hai
jab ki sari kaenat us ki nigahbani mein hai
dil azal hi se na jaane kaisi hairani mein hai
meri fitrat bhi to shamil meri nadani mein hai
laghzish-e-adam jo pinhan KHun-e-insani mein hai
jaane kis hangam mein Dali gai buniyaad-e-dil
dil jo ab tak mubtala ranj-o-pareshani mein hai
dur kar deta hai bas ek pal mein sab shikwe-gile
ye karishma bhi kisi ki aankh ke pani mein hai
kya samajh paenge ye ahl-e-KHirad is raaz ko
lutf danai mein kab wo hai jo nadani mein hai
dil mein aata hai hisar-e-har-talab ko toD dun
aisi KHwahish bhi tamannaon ki tughyani mein hai
ho gai aadam se ye kaisi KHata jis ke 'ewaz
nasl-e-adam aaj tak aisi pashemani mein hai
koi surat jab na ban pai to rona aa gaya
kuchh to taskin-e-gham-e-dil ashk-afshani mein hai
gar mile KHud mein samo len sare insanon ka dard
is qadar wus'at hamari tang-damani mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.