jab kisi dil mein chah hoti hai
jab kisī dil meñ chaah hotī hai
ruuh ātish-panāh hotī hai
jis kī hālat tabāh hotī hai
us kī sūrat gavāh hotī hai
dil meñ jab hubb-e-jāh hotī hai
dil kī duniyā tabāh hotī hai
ruuh jab jalva-gāh hotī hai
rū-kash-e-mehr-o-māh hotī hai
ishq-bāzī gunāh hotī hai
naujavānī tabāh hotī hai
jis jagah ḳhānqāh hotī hai
ma.asiyat uzr-ḳhvāh hotī hai
qahr kī jab nigāh hotī hai
merī hālat tabāh hotī hai
husn kī jo nigāh hotī hai
ishq kī shāhrāh hotī hai
kaun hotā hai monis-e-shab-e-ġham
naala hotā hai aah hotī hai
aaj āmāda-e-karam haiñ vo
be-gunāhī gunāh hotī hai
sharh-e-ulfat ke mas.ale haiñ judā
be-gunāhī gunāh hotī hai
husn-e-ḳhud-bīñ kī shoḳhiyāñ tauba
be-gunāhī gunāh hotī hai
hijr kī raat ai ma.āz-allāh
saarī duniyā tabāh hotī hai
dil meñ aatā hai kaif kā sailāb
lutf kī jab nigāh hotī hai
ahd-e-ulfat kī hai yahī takmīl
ġhair se rasm-o-rāh hotī hai
jāgtā hai agar kisī kā baḳht
ishq meñ dastgāh hotī hai
un ke kūche meñ marne vāloñ kī
ḳhuld ārām-gāh hotī hai
dekh le muñh ke pherne vaale
dil kī duniyā tabāh hotī hai
kal qayāmat meñ hogā muñh kaalā
aaj dāḌhī siyāh hotī hai
zindagī jis ko log kahte haiñ
hālat-e-ishtibāh hotī hai
jis ko gū-gird-e-surḳh kahte haiñ
vo tirī gard-e-rāh hotī hai
naaz kartī hai husn kī fitrat
āshiqī jab tabāh hotī hai
lījiye aa.e haiñ vo turbat par
mahr kī kab nigāh hotī hai
jis meñ ho imtiyāz-e-ranj-o-ḳhushī
aisī ulfat gunāh hotī hai
jo giraftār-e-ishq hotā hai
us kī sūrat gavāh hotī hai
sabr ko jo na kar de betābī
vo bhī koī nigāh hotī hai
vo bhī hotī hai dekhiye badnām
jo nazar be-gunāh hotī hai
go bahut duur haiñ tufail magar
yaad shām-o-pagāh hotī hai
hijr meñ raushnī bhī ai 'as.ad'
rashk-e-baḳht-e-siyāh hotī hai
jab kisi dil mein chah hoti hai
ruh aatish-panah hoti hai
jis ki haalat tabah hoti hai
us ki surat gawah hoti hai
dil mein jab hubb-e-jah hoti hai
dil ki duniya tabah hoti hai
ruh jab jalwa-gah hoti hai
ru-kash-e-mehr-o-mah hoti hai
ishq-bazi gunah hoti hai
naujawani tabah hoti hai
jis jagah KHanqah hoti hai
masiyat uzr-KHwah hoti hai
qahr ki jab nigah hoti hai
meri haalat tabah hoti hai
husn ki jo nigah hoti hai
ishq ki shahrah hoti hai
kaun hota hai monis-e-shab-e-gham
nala hota hai aah hoti hai
aaj aamada-e-karam hain wo
be-gunahi gunah hoti hai
sharh-e-ulfat ke masale hain juda
be-gunahi gunah hoti hai
husn-e-KHud-bin ki shoKHiyan tauba
be-gunahi gunah hoti hai
hijr ki raat ai maaz-allah
sari duniya tabah hoti hai
dil mein aata hai kaif ka sailab
lutf ki jab nigah hoti hai
ahd-e-ulfat ki hai yahi takmil
ghair se rasm-o-rah hoti hai
jagta hai agar kisi ka baKHt
ishq mein dastgah hoti hai
un ke kuche mein marne walon ki
KHuld aaram-gah hoti hai
dekh le munh ke pherne wale
dil ki duniya tabah hoti hai
kal qayamat mein hoga munh kala
aaj daDhi siyah hoti hai
zindagi jis ko log kahte hain
haalat-e-ishtibah hoti hai
jis ko gu-gird-e-surKH kahte hain
wo teri gard-e-rah hoti hai
naz karti hai husn ki fitrat
aashiqi jab tabah hoti hai
lijiye aae hain wo turbat par
mahr ki kab nigah hoti hai
jis mein ho imtiyaz-e-ranj-o-KHushi
aisi ulfat gunah hoti hai
jo giraftar-e-ishq hota hai
us ki surat gawah hoti hai
sabr ko jo na kar de betabi
wo bhi koi nigah hoti hai
wo bhi hoti hai dekhiye badnam
jo nazar be-gunah hoti hai
go bahut dur hain tufail magar
yaad sham-o-pagah hoti hai
hijr mein raushni bhi ai 'asad'
rashk-e-baKHt-e-siyah hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.