jab kisi maqsad bina yun hi guzari jaegi
jab kisī maqsad binā yuuñ hī guzārī jā.egī
yaad rakhnā zindagī be-maut maarī jā.egī
muft meñ koī yahāñ kuchh kaam kartā hī nahīñ
muft meñ bas aap kī 'izzat utārī jā.egī
pūchh letā hai vo rasman haal merā phone par
qurbateñ baḌh jā.eñgī to ġham-gusārī jā.egī
qarz dene meñ ye ḳhatra baḌh gayā hai in dinoñ
aadmī bhī jā.egā saarī udhārī jā.egī
duur jaate hī kisī se 'ishq vo karne lage
jo kahā karte the barsoñ meñ ḳhumārī jā.egī
jab kisi maqsad bina yun hi guzari jaegi
yaad rakhna zindagi be-maut mari jaegi
muft mein koi yahan kuchh kaam karta hi nahin
muft mein bas aap ki 'izzat utari jaegi
puchh leta hai wo rasman haal mera phone par
qurbaten baDh jaengi to gham-gusari jaegi
qarz dene mein ye KHatra baDh gaya hai in dinon
aadmi bhi jaega sari udhaari jaegi
dur jate hi kisi se 'ishq wo karne lage
jo kaha karte the barson mein KHumari jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.