jab kisi sahra se ho kar ek dariya jaega
jab kisī sahrā se ho kar ek dariyā jā.egā
tishnagī kā ḳhauf yaaro dil se miTtā jā.egā
din mayassar ham ko hogā kyā kabhī aisā bhī ik
har kisī insāñ ke muñh meñ jab nivālā jā.egā
kyā 'adāvat ruup bhī legī baġhāvat kā kabhī
kyā koī patthar yaqīnan phir uchhālā jā.egā
hādisa sach-much huā thā sāmne mere magar
kyā haqīqat ko kabhī kāġhaz pe likkhā jā.egā
dekhnā vo dauḌtā aa jā.egā merī taraf
jab idhar se us kī jānib ik ishāra jā.egā
ahl-e-dil se ho sakegā aaj milnā kyā ḳhabar
dekhnā hai haath se kyā ye bhī mauqa' jā.egā
us kināre kī tamannā tere dil meñ hai magar
tū samajh le duur tujh se ye kināra jā.egā
is jahāñ meñ haiñ musāfir kī tarah 'ānand' sab
falsafa jis ne ye samjhā sukh vahī pā jā.egā
jab kisi sahra se ho kar ek dariya jaega
tishnagi ka KHauf yaro dil se miTta jaega
din mayassar hum ko hoga kya kabhi aisa bhi ek
har kisi insan ke munh mein jab niwala jaega
kya 'adawat rup bhi legi baghawat ka kabhi
kya koi patthar yaqinan phir uchhaala jaega
hadisa sach-much hua tha samne mere magar
kya haqiqat ko kabhi kaghaz pe likkha jaega
dekhna wo dauDta aa jaega meri taraf
jab idhar se us ki jaanib ek ishaara jaega
ahl-e-dil se ho sakega aaj milna kya KHabar
dekhna hai hath se kya ye bhi mauqa' jaega
us kinare ki tamanna tere dil mein hai magar
tu samajh le dur tujh se ye kinara jaega
is jahan mein hain musafir ki tarah 'anand' sab
falsafa jis ne ye samjha sukh wahi pa jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.