jab koi humse ruTh jata hai
jab koī ham se ruuTh jaatā hai
haath hāthoñ se chhūT jaatā hai
aañkh uThtī hai āsmāñ kī taraf
dil mirā jab bhī TuuT jaatā hai
dil huā hai hamārā dillī sā
jis ko dekhūñ vo lauT jaatā hai
apnā dil apne paas hī rakhiye
ham se vo TuuT phuuT jaatā hai
samjho vo ho gayā ḳhudā ke qarīb
jis kī bātoñ se jhuuT jaatā hai
kitnā nāzuk hai dil mirā 'kāshif'
us kī bātoñ se TuuT jaatā hai
jab koi hum se ruTh jata hai
hath hathon se chhuT jata hai
aankh uThti hai aasman ki taraf
dil mera jab bhi TuT jata hai
dil hua hai hamara dilli sa
jis ko dekhun wo lauT jata hai
apna dil apne pas hi rakhiye
hum se wo TuT phuT jata hai
samjho wo ho gaya KHuda ke qarib
jis ki baaton se jhuT jata hai
kitna nazuk hai dil mera 'kashif'
us ki baaton se TuT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.