jab koi lafz apni zaban se nikal gaya
jab koī lafz apnī zabāñ se nikal gayā
samjho ki jaise tiir kamāñ se nikal gayā
ik raushnī thī tair ke bāñhoñ meñ aa ga.ī
duniyā kā ranj vahm-o-gumāñ se nikal gayā
ab ‘ilm-o-āgahī kī karāmat to dekhiye
kal tak jo thā zamīñ pe zamāñ se nikal gayā
us ko na koī ġham na zamāne kī fikr hai
jo lālach-o-havas kī dukāñ se nikal gayā
parkhā qarīb se to 'ayāñ mujh pe ho gayā
phir yaar merā husn-e-bayāñ se nikal gayā
'bāsit' bichhaḌ ke aayā huuñ ik dost se abhī
ik shaḳhs aaj mere jahāñ se nikal gayā
jab koi lafz apni zaban se nikal gaya
samjho ki jaise tir kaman se nikal gaya
ek raushni thi tair ke banhon mein aa gai
duniya ka ranj wahm-o-guman se nikal gaya
ab ‘ilm-o-agahi ki karamat to dekhiye
kal tak jo tha zamin pe zaman se nikal gaya
us ko na koi gham na zamane ki fikr hai
jo lalach-o-hawas ki dukan se nikal gaya
parkha qarib se to 'ayan mujh pe ho gaya
phir yar mera husn-e-bayan se nikal gaya
'basit' bichhaD ke aaya hun ek dost se abhi
ek shaKHs aaj mere jahan se nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.